Raah to hmne wahi chuni thi .. safarname ki ..
Jis pr tumhara har pal aana jana tha .. .♥.
Saanso ki raftar pe gujrte.. din rayen sare..
Khalish ka koi nam-o-nishan na tha .. .♥.
Jane mud gaye kyu ye kadam tumhare ..
Jis manzil ka aisa hairat e anzam na tha .. .♥.
Ab intezar ki aahat kisi kone se deti sunayi ..
..aur bs soonepan ki sadao ka fasana tha .. .♥.
Arzu h waqt bewaqt....
kbhi to lipatoge aakar apni yaado se bekhabar ..
Us mod ki dahleez pr..
jaha bikhra apna aashiyana tha .. .♥.

No comments:
Post a Comment