Popular Posts

Monday, 16 January 2012

Chahta hoon main tujhe aaj bhi par

.. Main lafzon se kuch bhi izhaar nahi karta
Iska Matlab ye nahi ki main tujhe pyar nahi karta . .

Chahta hoon main tujhe aaj bhi par
Teri soch mein apna waqt bekaar nahi karta . .
...
Tama$ha na ban jaye meri Mohabbat kahin
Isliye apne dard ko Namoodaar nahi karta . .


Jo kuch Mila hai U$i mein khush hun
Tere liye Khuda se taqrar nahi karta . .

Par kuch to baat hai teri fitrat me zalim
Warna tujhe chahne ki Khata baar baar nahi karta . . ..

No comments:

Post a Comment