nazaren to khud hi bhatakti h raahon me
hum jaiso ko to aur bhi bhatkaati rehti h ye..
socha chalo ab dil ka sahaara lete hain
iski aankho se dunia ka nazara lete hain..
pr ise farq padta nhi….ujaale andheri raahon me
kaali syaah ki to baat chhoro…dikhta nhi ise chandani raaton me..
le jaa ke kashtiyon ko ye aqsar …lagaati kahi kisi kinaaron me
aur dikha k muhabbat ka manzar….duboti aansuon ki barsaton me

No comments:
Post a Comment